Monday, October 06, 2014

Ek Din.....

Ek din ka intezaar hain mujhe.
Jab mujh mein himmat hogi,
Hogi mujh mein taakat.
Na darunga main na rukunga main,
Jo chaahunga woh sab karunga main.
Bas uss ek din ka intezaar hain mujhe.

Apne khwaabo ke peechhe daudhne ki himmat ho mujh mein.
Unn tak pohachne ke liye sab chhodhne ki taakat ho mujh mein.
Darr ho bas itna ki thak na jaaoon main,
Apni manzil ke paas pahuchne se pehle hi ruk na jaaoon main.
Apne saare khwaabo ko sapno ko haasil karna hain mujhe,
Har museebat se har rukaawat se datt kar ladhna hain mujhe.

Hasna hain mujhe, rona bhi hain mujhe,
Khushi ka gham ka aansoon bhi peena hain mujhe,
Haarna hain mujhe, haar ke jeetna hain mujhe,
Bas iss zindagi ke khel ko khelte jaana hain mujhe.

Woh ek din har din ke jaisa hi hoga,
Kuch badla hoga toh bas main.
Din wohi hoga, raat bhi wohi hogi,
Kuch badla hoga toh bas main.
Suraj wahi ugega, uski kirane bhi wohi hogi,
Kuch badla hoga toh bas main.
Manzile wohi par soch nayi hogi,
Raaste wohi par mushkile nahi hogi,
Jazbaat wohi junoon wohi hoga,
Himmat nayi aur hausla buland hoga,
Woh ek din har din ke jaisa hi hoga,
Kuch badla hoga toh bas main.

Aaj woh din nahi, iss baat ka gham hain mujhe.
Woh din aaega zaroor, poori ummeed hain mujhe.
Yakeen hain iss baat ka ki woh ek din bas mera hoga.
Intezaar hain mujhe uss ek din ka, uss ek pal ka, uss ek lamhe ka,
Jab main kahunga, ki aaj woh din hain, mera ek din.


Saturday, September 13, 2014

Andhi Duniya Mein Andha Main

Andhi duniya mein andha main,
Sab dekh kar bhi andekha kar diya.
Andhi duniya mein andha main,
Sab jaan kar bhi anjaan kar diya.

Jo dekhna chaahiye, woh main dekhta nahi.
Jo nahi dekhna chaahiye, hai bas dikhta wohi.
Waise toh inn aankhon ko kholna bhi mushkil nahi,
Par shayad itna sa karne ki bhi ab mujhme himmat nahi.

Ye dange mujhe dikhaayi nahi dete.
Ye cheekhe mujhe sunaayi nahi deti.
Dikhta hai ki koi kuch nahi kar raha,
Par kya main khud kuch kar dikhaata hoon.
Sunaayi nahi deti inn cheekho ko rokti koi aawaaz,
Par kya main khud apni aawaaz uthaata hoon.
Kehna aasaan hai par karna hai mushkil,
Aise kehne waale toh bohat dekhe hai.
Dekha nahi bas khud ko kuch karte,
Haath mein haath dhare hum sab bas yuhi baithe hai.

Kuch karunga main, aage badhunga main,
Aaj bhi mera ye sapna toota nahi hai.
Woh badlaav aaega, use laaunga main,
Aaj bhi iss ummeed ka daaman chhoota nahi hai.
Mere haath ki lakeerein kehti hai kuch kar dikhaaunga main,
Inn lakeero ko ek din sach kar dikhaana hai mujhe.
Iss andhi duniya ko dikhaaunga,
Iss behri duniya ko sunaaunga,
Aur shayad ek din shayad koi yeh na kahe….

Andhi duniya mein andha main,
Sab dekh kar bhi andekha kar diya.
Andhi duniya mein andha main,
Sab jaan kar bhi anjaan kar diya.
Andhi duniya mein andha main,
Sab keh kar bhi main chup reh gaya.